Basic Syntax:
Programmers kuch lafz buhat istemal karte hain. Un mein se aik lafz "Syntax" hai. Asan lafzon mein woh basic zahiri tarteeb jo program likhne ke liye zarori hai.
Dunya ki har zuban ka koi syntax zaror hota hai. Jaisay ke Urdu mein koi jumla bananay ke liye lafzon ko aik khaas tarteeb mein likhna hota hai takay unka koi matlab nikle. Aap Syntax ko aik kisam grammer keh sakte hain.
Example 1:
"Babar aik acha aur zaheen larka hai."
Upar diye gaye jumlay ko ap asani se samajh sakte hain aur iska matlab bhi bilkul saaf hai.
Agar issi jumlay ki tarteeb hum change kar dain toh iska matlab hi samajhna mushkil ho jaye ga.
"Acha Babar aik hai aur larka zaheen."
Chalain aik aur Urdu ki misaal laitay hain, hum har jumla khatam karne ke liye nukta(full stop) lagate hain. Issay yeh faida hota hai ke jo koi bhi yeh jumla parhay aur Urdu jaanta ho woh samajh jaye ke kahan jumla khatam ho raha hai.
Bilkul issi tarah Programming mein bhi mukhtalif asool or tareekay hain jo follow karne parhtay hain, aur yeh sab mil kar Syntax kehlatay hain.
Example 2:
PHP Programming Language mein line(jumla) khatam karne ke liye semi-colon (;) lagana parhta hai. Kyunke humara code computer ne samajhna hota hai aur computer mein pehle se Syntax save hota hai. Woh hamesha line ke end pe semi-colon (;) expect kare ga. Aur agar woh miss howa toh error (means, apne koi ghabla kiya hai), dikhaye ga. Asay errors ko hum Syntax Errors kehte hain.
Main ab Urdu ka wohi jumla Programming mein likhta hon.
echo *"Babar aik acha aur zaheen larka hai.";*
Upar wali line mein koi Syntax error nahi.*
echo *"Babar aik acha aur zaheen larka hai."
Upar wali line ke end mein semi-colon(;) missing hai, iss liye Syntax error hai.
Trick Question:
echo "Acha Babar aik hai aur larka zaheen.";
kya upar walay jumlay mein koi syntax error hai ya nahi?
Mujhe pata hai start zara boring huwa hai, lekin agay ke topics interesting hain aur phir real programming bhi shuru hogi toh asal maza aaye ga.
Picture abhi baki hai mere dost!!
Top comments (0)